Saturday 12 October 2019

एक हकीकत बेवफाई

                 Ek Haqeekat Bewafai

Uski Bewafai Dekh Kar Aankh Bhar Aata Hai,
Na Jaane Is Dil Me Kya-Kya Khayal Aata Hai,
Gum Nahi Ki Usne Mera Sath Chhod Diya,
Khushi Hai Ki Use Aaj Bhi Muskurana Aata Hai..

Meri Dua Uske Kaam Zarur Aayegi,
Wo Zindagi Bhar Isi Tarah Muskurayegi,
Jis Din Use Apni Galati Ka Ehsaas Ho Gaya,
Such Kahu Wo Muskurana Hi Bhool Jaayegi..

Aaj Wo Khush Hai Kisi Aur K Pyaar me,
Phir Is Gareeb K Ghar Wo Raat Kaise Bitayegi,
Main To Dariya Hu, Use Samandar Mil Gaya,
Use Chhod Kar Bhala Mere Paas Kaise Aayegi, Kaise Aayegi..??

Writen By Self :- Jeetu  Marskole

एक चाहत

                         EK CHAHAT

Mujhe Chahat Hai Chand Ki,
Magar Dar Lagta Hai, Kahi Meri Chahat Ek Chahat Bankar Na Reh Jaaye,

Har Raat Meri Chahat Poori Hoti Dikhai Deti hai,
Magar Subah Ki Roshni Meri Chahat Chhin Leti Hai..

Mujhe Andhere Se Dar To Lagta Hai,
Magar Wahi Andhere Ka Chand Mujhe Jeevan Deta Hai..

Mere Jeene Ka Maksad Wahi Chand Hai,
Jise Log Dekhte To Hai, Magar Pehchan Nahi Paate,
Uski Sundarta Mehsus To Karte Hai, Magar Choo Nahi Paate..

Main Usi Chand Ke Rag-Rag Se waqif Hu,
Use Mehsus Bhi Karta Hu, Aur Choo Bhi Sakta Hu..

Kya hua Agar Main Use Sirf Raat Me Dekhta Hu,
Haqikat Me Na Sahi Sirf Khwab Me Dekhta Hu..

Main Jaanta Hu, Khwab,Khwab Hi Hoti Hai,
Magar Khwab Hi Wo Zariya Hai, Jisme Har Khwahish Puri Hoti Hai....

Writen By Self :- Jeetu Marskole